Kabhi Fursat Ho To Jagdambe Lyrics In English.
Kabhi fursat ho to jagdambe - 2
Nirdhan ke ghar bhi aa jaana
jo rukha-sukha diya hamein
Kabhi uska bhog laga jana
Kabhi fursat ho to jagdambe
Nirdhan ke ghar bhi aa jana
Na chatter bana saka sone ka
Na chunri ghar mere taaro jadhi
Na pere, burfi, meva hai maa
Bas sharadha hai nain bichaiye khadi
Is sharadha ki rakh lo laaj hey maa
Is arzi ko na thukra jaanajo rukha-sukha diya hamein
Kabhi uska bhog laga jana
Jis ghar ke diye mein tail nahi
Wahan jyoti jalaun main kaise
Mera khud hi bichauna dharti par
Teri choki sajayun main kaise
Jahan main baitha wahi baith ke maa
Bacchon ka dil behla jaanajo rukha-sukha diya hamein
Kabhi uska bhog laga jana
Tu bhagya banane wali hai
Maa main taqdeer ka maara hoon
Hey daati sambhalo bhikhari ko
Aakhir teri aankh ka tara hoon
Main doshi tu nirdosh hai maa
Mere doshon ko tu bhula jaana jo rukha-sukha diya
hamein
Kabhi uska bhog laga jana
Kabhi fursat ho to jagdambe
Nirdhan ke ghar bhi aa jana
Kabhi fursat ho to jagdambe